Pages

Monday, December 24, 2012

Sadiyon se insaan yeh sunta aya hai


Sadiyon se insaan yeh sunta aya hai,
Dukh ki dhoop ke agey sukh ka saya hai,

Hum ko in sasti khushiyon ka bhoj na do,
Hum ne soch samajh ke gham apnaya hai,

Jhoot to kaatil thehra, is ka kya rona,
Sach ne bhi insaan ka khoon bahaya hai,

Pedaayesh ke din se maut ki zadd mein hain,
Iss maktal mein kon humain le aya hai,

Awal awal jis dil ne barbaad kiya,
Aakhir aakhir woh dil hi kaam aya hai,

Itne din ehsaan kiya deewanon per,
Jitne din logon ne sath nibhaya hai…

No comments:

Post a Comment