Pages

Friday, December 21, 2012

Us ko bhi bachaana hai khud ko bhi bachana hai


Us ko bhi bachaana hai khud ko bhi bachana hai,
Ik simt hai zaat apni ik simt zamana hai,

Hum se na koi uljhey hum log hain deewaney,
Aandhi se humain zid hai ik deep jalana hai,

Hum dono ko baanta hai daryaa ke kinaron ne,
Iss simt bhi rehna hai us paar bhi jaana hai,

Yeh ishq to fitrat hai kese ho judaa mujhse,
Yeh rog hai matti ka aur sadiyon purana hai,

Basti hi chupa li phir us shakhs ne hathon mein,
Itna jo kaha mene ik sheher basaana hai,

Ik aankh hai sehraa to ik aankh samahdar hai,
Kya janiye is dil main kis kis ko samaana hai,

Kehne ko bohat kuch hai aye Saad magar hum ne,
Ik vaada nibhaana hai ik dard chupaana hai..

Saad Ullah Shah

No comments:

Post a Comment