Pages

Friday, January 25, 2013

Phool mehka to hua roop shararey jesa


Phool mehka to hua roop shararey jesa,
Is se agey ka fasaana hai hamarey jesa,


Kis nikaltey huye suraj ki talab ki mene,
Hashar mera jo hua subaah ke taarey jesa,


Teri aankhain mere afsaana-e-gham ki tasveer,
Mera daaman teri palkon ke kinaarey jesa,


Jese ik bhoola hua khawb nazar aaney lage,
Har nazaara hai kisi aur nazarey jesa,


Aayiney se kabhi azaad na ho ga jo Saud,
Wohi ik shakhss hai duniya mein hamarey jesa

No comments:

Post a Comment