Pages

Saturday, September 21, 2013

Sham sy pehlay ik diya jalana chahta hon


Sham sy pehlay ik diya jalana chahta hon ,
Main aj apni mohabat ko aazmana chahta hon ,
Yeh aana parast log hai andr sy tootay huye ,
Main yeh baat duniya walon ko btana chahta hon ,
Teri zaat ki mehroomiyan tera man ki yeh udaasiyan ,
Mujhy moka to dy main inhay mitaana chahta hon ,
Tere hath mera rehbar tere naksh paa meri manzil k
Tujhay main chillchilate dhoop main aanchal bnana chahta hon ,
cheen lo saharay mujh sy apnay piyaaray saray mujh sy
Bs do hosla mujhay main khud ko manvana chahta hon ,
poocha jo yaaro nay muskurahat ka sbab
to kehnay lga awais main hansi k pardy main dard apna chupana chahta hoon

No comments:

Post a Comment