Pages

Tuesday, October 8, 2013

Meri tarha kisi ko bhi khona nahi’n parra

Latest Shayari


Meri tarha kisi ko bhi khona nahi’n parra
Tum khush-naseeb ho, tumhein rona nahi’n parra
Bin mangay mil gai tumhein har manzil
Talwo’n mein koi khaar chubhona nahi’n parra
Sad shukr, mujh dareeda badan ki tarha tumhein
Kaanto’n pe aik raat bhi sona nahi’n parra
Dushman se surkh’roo hun, k badla nahi’n liya
Sharminda apny aap se hona nahi’n parra
Rakhay tamaam chaak salamat, firaaq k
Pardes mein bhi seena parona nahi’n parra
Ki zindagi ne meri wakalat kuch is tarha
Baar-e-saboot bhi mujhy dhona nahi’n parra
Naazaa’n hun, apny qaalib-e-deewan mein mujhy
Bharti ka koi sher samona nahi’n parra . . . !

No comments:

Post a Comment