Pages

Sunday, October 6, 2013

Ishq Shairi


Ishq Shairi


saat sarroon ka yea behta darya teray naam,
har sur may ik rang dhank ka teray naam,

jungle jungle roonay waalay sub moasam,
aur hawa ka sabaz dupatta teray naam,

hijar ki shaam akeli raat k khali dar,
subha-e-farak ka dard ujala teray naam,

jitnay khuwab khuda ny meray naam likhay,
in khawaboon ka rysha rysha teray naam

No comments:

Post a Comment