Naadim hoon mein ne koi bhi rahat na di tujhy
Tu jis ka mustahiq tha wo chahat na di tujhy
Apny hi roz-o-shab k jhamelo’n mein gum raha
Jis per tera tha haq wo rafaqat na di tujhy
Tu paas tha tou meri anaa k ghuroor ne
Pathar k aik but ki bhi wuq’at na di tujhy
Dariya tha mein khuloos ka har shakhs k liye
Per boond bhar bhi meine muhbabbat na di tujhy
Kaghaz k qamqam’on ko jalanay k shauq mein
Afsos, koi sham-e-rafaqat na di tujhy
Tu sochta tou ho ga k shayar k piyar ne
Apni kisi ghazal ki bhi surat na di tujhy
Mein kia karu’n k meray both se azaab they
Bus is liye kabhi koi zehmat na di tujhy
No comments:
Post a Comment