Pages

Saturday, December 29, 2012

Hasan Koozah-gar

Hasan Koozah-gar ---- I
JahaaN-zaad!
Neeche gali mein
Tere dar k aage
Ye main sokhta-sar
Hasan koozah-gar huN
Tujhe subho bazaar mein
BooRhe attaar Yusuf ki dukkaan par
Main ne dekha
To teri nigaahoN mein
Wo taab-naaki thi
Main jiski hasrat mein
Nau saal deewaana phirta raha
JahaaN-zaad!
Nau saal deewaana phirta raha
Ye wo daur tha
Jis mein main ne kabhi
Apne ranjoor koozoN ki jaanib palaT kar na dekha
Wo kooze
Mere dast-e-chaabuk k putle
Gil o rang o raughan ki makhlooq-e-be-jaaN
Wo sar-goshiyoN mein ye kehte,
Hasan kooza-gar ab kahaN hai
Wo ham se
Khud apne amal se
Khudaawand ban kar
KhudaaoN ki maanind hai roo-e-gardaaN
JanaaN-zaad!
Nau saal ka daur
YooN mujh pe guzra
K jaise kisi shehr-e-madfoon par waqt guzre
TaghaaroN mein mitti
Kabhi jis ki khushbu se waarafta hota tha main
Sang-basta paRi thi
Suraahi o meena o jaam o subu
Aur faanoos o guldaaN
Meri heich-maaya maeeshat k izhaar-e-fan k sahaare
Shikasta paRe they
Main khud
Main
Hasan koozah-gar
Pa-ba-gil
Khaak-sar, bar-barehna
Sar-e-chaak
Zoleeda-mu
Sar-ba-zaanu
Kisi gham-zada deivta ki tarha
Vaahime k gil o la se
KhwaaboN k sayyaal kooze banaata raha
JahaaN-zaad!
Nau saal pehle tu nadaaN thi lekin
Tujhe ye khabar thi
K main ne
Hasan koozah-gar ne
Teri qaaf ki c
Ufaq-taab aankhoN mein
Dekhi hai wo taab-naaki
K jis se mere jism o jaaN
Abr o mehtaab ka rah-guzar ban gaye they
JahaaN-zaad!
Baghdaad ki khwaab-gooN raat
Rood-e-Dajla ka saahil
Wo kashti
Wo mallaah ki band aankhein
Kisi khasta-jaaN,
Ranj-war koozah-gar k liye
Eik hi raat
Wo koh-ruba thi
K jis se abhi tak hai paivast uska wujood
Uska paikar
Magar eik hi raat ka zauq
Darya ki wo lehr nikla
Hasan kooza-gar jis mein dooba
To ubhra nahi hai
JahaaN-zaad!
Is daur mein roz
Har roz
Wo sokhta-bakht
Aa kar mujhe dekhti
Chaak par
Pa-ba-gil,
Sar-ba-zaanu
To shaanoN se mujhko hilaati
Wo shaanoN se mujhko hilaati,
Hasan koozah-gar!
Hosh mein aa
Hasan!
Apne veeraan ghar par nazar kar!
Ye bachoN k tannoor kiyun-kar bharein ge!
Hasan!
Aai mohabbat k maare!
Mohabbat ameeroN ki baazi!
Hasan!
Apne deewaar o dar par nazar kar!
Mere kaan mein ye nawaa-e-hazeeN
YuN thi jaise kisi Doobte shakhs ko
Zeir-e-girdaab koi pukaare
Wo ashkoN k ambaar
PhooloN k ambaar they
HaaN magar
Main, Hasan koozah-gar
Shehr-e-auhaam k
Un kharaaboN ka mjzoob tha jin mein
Koi sada
Koi jumbish
Kisi margh-e-parraaN ka saaya
Kisi zindagi ka nishaaN tak nahi tha
JahaaN-zaad!
Main aaj teri gali mein
YahaaN raat ki sard-gooN teergi mein
Tere dar k aage
KhaRa huN
Sar o mu pareshaaN
Dareeche se wo
Qaaf ki c talismi nigaahein mujhe
Aaj phir jhaankti hain
Zamaana JahaaN-zaad! wo chaak hai
Jis mein meena o jaam o subu
Aur faanoos o guldaaN k maanind bante bigaRte hain insaaN
Main insaaN huN lekin
Ye nau saal jo gham k qaalib mein guzre
Hasan koozah-gar,
Aaj ik toda-e-khaak hai
Jis mein nam ka asar tak nahi hai
JahaaN-zaad!
Baazaar mein subh
Attaar Yusuf ki dukkaan par
Teri aankhein
Phir ik baar kuch keh gaee hain
Un aankhoN ki taabinda shokhi se uTThi hai
Phir toda-e-khaak mein nam ki halki c larzish
Tamanna ki wus'at ki kis ko khabar hai!
JahaaN-zaad!
Lekin tu chaahe to ban jaauN
Main phir wohi kooza-gar
Jis k kooze
They har kaakh o ku
Aur har shehr o qarya ki naazish
They jin se ameer o gada k masaakin
DarakhshaaN
Tamanna ki wus'at ki kis ko khabar hai!
JahaaN-zaad!
Lekin tu chaahe to main phir
PalaT jaauN
Un apne mehjoor koozoN ki jaanib
Gil o la k sookhe taghaaroN ki jaanib
Maeeshat k izhaar-e-fan k sahaaroN ki jaanib
K main us gil o la se
Us rang o raughan se
Phir wo sharaare nikaaluN
K jin se diloN k kharaabe hoN raushan.


Noon Meem Rashid

No comments:

Post a Comment